Monday, May 21, 2007

18)
Naino mein swapnil ujale
Adharon pe geeton ki maala
Priye, tumse milkar hi toh
Jaana kya hoti hai haala
Tum hi geeton ki raagini
Tum hi meri swaranjali
Tumse hi milkar hua hai
Mera jeevan surmay Madhushala

19)
Kesh khule ghata ho jaaye
Palkon mein simati haala
Kaifi mujhe kar deta hai
Mridu adharon ka pyaala
Apni nazron se peeta hoon
Yauvan ras maadaak haala
Priye, tum hi saaki mera
Priye, tum hi Madhushala

20)
Taarein bane hai saaki
Nabh bana hai pyaala
Mand mand hawa ke jhonkon mein
Ghul rahi hai pranay haala
Bharlon mujhko bhaahon mein
Aur laga lo apne honthon se
Mai banta hoon peenewaala
Tum ho jao Madhushala

21)
Chandra sa mukh hai
Honthon pe til kaala
Chaandani ka hai aanchal
Yauvan ras maadaak haala
Surya ki liye aabha
Tann swarna kanchan mein dhaala
Kyun kar na ho koi deewaana
Tum husn ki Madhushala

22)
Ek taraf 'PyaR' hai mera
Ek taraf khadi hai haala
Ek taraf khada hai saaki
Ek oar hai adharon ka pyaala
Asamanjas mein bhaita soch raha
Aakhir varan karoon mai kiska
Paata hoon jo prem apna
Duur jaati hai Madhushala

23)
Dono hi hai meri apni
Kya preyasi kya haala
Ek hai meri zindagi
Ek meri jeevan haala
Kiske dar par karun sajda
Hai kathin yeh faisla
Dono hi hai paavan
Kya kuch uska kya Madhushala

24)
Patjhad gaya aaya basant
Chaaii nadhuritu haala
Solah shringar kar jhum rahi
Dhara bankar saakibaala
Daali Daali khile hai tesu
Megh ga rahe malhaar
Rimjhim rimjhim nach rahi barkha
Saawan ho gayi Madhushala
Sabko pranam
bahut dino baad upasthith hua hoon...

kuch aur raubaiyaan ban padi thi toh socha
aapse muqhatib hokar aap sabko sunaun....

Toh lijiye pesh hai meri agali rubaiyaan

Friday, December 15, 2006

My Madhushala

I am so much inspired by the great poet that I thought of giving a tribute to him in his own way
and started writing my own version of Madhushala. I know its not possible to create the same magic what Mr.Bachhan did but atleast I can pay a tribute to him.

What follows is my version MADHUSHALA
feel free to comment or criticize it
********************************************

1]Surya ki tapish se vihal dhara pe
Jab chata megh matwala
Aur barsata jhum jhum, Mitane
Pyaasi dharti ki haala*
Badal Saki* nazar aate mujhe
Dhara ban jati pyala
Madhu si barasti boondein jal ki
Prakruti, banti meri Madhushala


Saki=Bar-tender
Haala=thirst

2]Kisi ko chala duniya ne
Kisi ko Dil ka chaala*
Alag alag dard hai sabke
Ek magar unki haala
Har peeda ka anth hai hota
Jab labon ko chuta pyala
Yakeen gar na ho mera
Aakar dekho, meri Madhushala


chaala=sore

3]Nain tumhare madiralay
Honth madhu pyala
Payal jhankrut kar jab chalti
Tum, nazar aati saakibala
Aaj mai banta hoon peenewala
Tum ban jao haala
Mai ban jaaun khumari
Tum ban jao Madhushala

4]Angoor lata se kesh tumhare
Ang ang madak haala
Tum chanchal madira si
Mai jad, mitti ka pyaala
Aa sama ja mujhme aise
Fark na kar sake dekhne waala
Kaun madak, Kaun madira
Kaun saki, Kaun Madhushala

5]Krishnabhakti mei jee nahi lagta
Na hee kehata yeh allahtaala
Kya Pandit Kya Maulavi
Sab nazar aate saakibaala
Mandir jane pag nahi utthte
Masjid ki raah tau kab ka bhula
Ab tau bas ek hi path chalta hoon
Jaata hai jo Madhushala

6] Thakurdware kyun khade ho
Yahan nahin kucch milnewala
Yahan saare yaachak hi aate
le apni apni haala
Pana hai gar kucch, to jao madiralay
Wahan hai har ek denewala
Sach to yeh hai, kya mandir masjid
sabko daan karna sikhlati hai Madhushala

7]Sagar manthan mein prapt huye
Teeno amrut,halahal aur haala
Dev le gaye amrut
Halahal shiv ne leela
Khushkismat tha manav
Jo mili usko haala
Lupt huye amrut aur halahal, Par
Bani huyi hai sadiyon se Madhushala

8]Dekh phir aayi hai,
italati,balkhathi Saakibaala
Ek hath mein thame surahi
Ek hath mein liye pyaala
Phir chalak rahe hai paimane
Phir jaag utthi hai haala
Phir madhosh mujhe karne
Dekh bula rahi hai Madhushala

9]Peete peete phir raat gayi
Peene mein hi din dhala
Bacha raha bas mai aur saaki
Aur rahi baaki haala
Hosh sambhale chala pada tha
Wapas ghar ki ore
Beech raah lekin khadi thi
Daman thamne mera Madhushala


10]Chua nahi jisne kabhi
Nahi samajh saka kya hai pyaala
Honthon se jiske lagi nahi
Nahi samajh saka kya hau haala
Mujhse kehata hai woh, tuchh hai
Teri Madira tera pyaala
Mai kehata hoon kabhi aakar dekh
Kitani laajawaab hai Madhushala


11]Vindhya ho chahe madhughat
Ya kailash sa ho pyaala
Phir bhi na trupt main hounga
Hai kshirsagar si meri haala
Pilate Pilate thak jaayega saaki
Magar mai nahin rukne waala
Kshuda meri shaant na hogi
Chahe dharti ban jaye Madhushala


12]Diya na jaale mandir mein
Magar roz chalkega pyaala
Na hogi aazaan kisi din
Magar paimaano mein hogi haala
Duur se darshan kar chal dega bhakt
Magar raah na bhulega peenewaala
Vyarth dosh dete hai isko magar
Niyamo ka paalan sikhlati hai Madhushala


13]Aaj smruti ke anguron ki
Bana laya hoon haala
Aaj karta hoon arpan tujhko
Mai yaadon ka pyaala
Kahin muskurata bachpan hai
kahin hai yauvan matwaala
Har pal bana hua hai saaki
Yaadein huyi hai Madhushala

14]Barson mein mile hai saathi purane
Phir bahegi yaadon ki haala
Karengi nartan phir aankon mein
Vigat smrutiyan ban saakibaala
Chalega daur dhalne dhalane ka
Phir chumega labon ko pyaala
Dohraye jayenge geet purane, phir
Hogi jagrit hriday ki Madhushala

15]Solah shringar kar lagnvedi par baheti
Liye nayano mein sapno ki haala
Pulkit hriday,harshit mann aur labon se
Japati peeya naam ki maala
Har mantra par badhti dhadkan
Har phere par hota man matwaala
Laj se sakuchate ghunghat se niharti
Woh navvadhu jaise swayam Madhusahala

16]Samay badalta sabke roop
Yeh nahi kabhi thamnewaala
Dekh nazakat waqt ki
Madiralay ne bhi khud ko dhala
Kabhi tha jo mitti ka
Aaj sheeshe ka hai pyaala
Kabhi aazaad hua karti thi
Aaj botal mein bandh hai Madhushala

17]Naya swaroop dhara madiralay ne
Naveen nutanta laayi hai haala
Kabhi shant gambhir jo hua karta tha
Aaj naye andaaz dikhla raha hai pyaala
Badla hua sa hai sabkuch
Badle hai sabke naam bhi
Madira ko kehate hai 'wine' aur
Aaj 'pub' kehlaati hai Madhushala

MADHUSHALA

Madhushala is one of best creations in Hindi of the modern era. Its collection of "Rubaaii's" a short poem of 8 lines divided in two parts 4 lines each, by the great poet Late. Mr. Harivansh rai Bachhan. I hadn't read the book but have heard a lot about it for my friends. Then suddenly one day while doing window shopping in a book store I found the book and purchased it and you know that's the best thing I did. Its a tremendous composition and you can see the vividity of thoughts of
the poet. I just love it more as I read it again again.