Monday, May 21, 2007

18)
Naino mein swapnil ujale
Adharon pe geeton ki maala
Priye, tumse milkar hi toh
Jaana kya hoti hai haala
Tum hi geeton ki raagini
Tum hi meri swaranjali
Tumse hi milkar hua hai
Mera jeevan surmay Madhushala

19)
Kesh khule ghata ho jaaye
Palkon mein simati haala
Kaifi mujhe kar deta hai
Mridu adharon ka pyaala
Apni nazron se peeta hoon
Yauvan ras maadaak haala
Priye, tum hi saaki mera
Priye, tum hi Madhushala

20)
Taarein bane hai saaki
Nabh bana hai pyaala
Mand mand hawa ke jhonkon mein
Ghul rahi hai pranay haala
Bharlon mujhko bhaahon mein
Aur laga lo apne honthon se
Mai banta hoon peenewaala
Tum ho jao Madhushala

21)
Chandra sa mukh hai
Honthon pe til kaala
Chaandani ka hai aanchal
Yauvan ras maadaak haala
Surya ki liye aabha
Tann swarna kanchan mein dhaala
Kyun kar na ho koi deewaana
Tum husn ki Madhushala

22)
Ek taraf 'PyaR' hai mera
Ek taraf khadi hai haala
Ek taraf khada hai saaki
Ek oar hai adharon ka pyaala
Asamanjas mein bhaita soch raha
Aakhir varan karoon mai kiska
Paata hoon jo prem apna
Duur jaati hai Madhushala

23)
Dono hi hai meri apni
Kya preyasi kya haala
Ek hai meri zindagi
Ek meri jeevan haala
Kiske dar par karun sajda
Hai kathin yeh faisla
Dono hi hai paavan
Kya kuch uska kya Madhushala

24)
Patjhad gaya aaya basant
Chaaii nadhuritu haala
Solah shringar kar jhum rahi
Dhara bankar saakibaala
Daali Daali khile hai tesu
Megh ga rahe malhaar
Rimjhim rimjhim nach rahi barkha
Saawan ho gayi Madhushala

No comments: